Friday, May 21, 2010
tum itni masum ho ke tumhe bhi nai pata
Mein kuch din pehle ek church me gai or wo itna khubsurat tha or waha jo shanti thi mano kahi naho.muje waha jana bhut acha laga kyunki me apne kuch dosto ke sath waha gai thi.or jab hum waha se bahar aaye to muje waha par char bache mile jo bewajeh hume dekh hash rahe the or jab me unke pas gai to ek bachi ne itni masumiyat se kaha didi paise dedo or jab mene unme se ek ladki ko 5 rs. diye to wo itne pyar se boli di mujhe 2 rs dedo na kyuki use to ye bhi nai pata ke 2rs jyada the ya 5rs ladki itni pyari thi muje laga me use ghar le aau par har bar ki tareh mumy ki bat yaad aa gai ..or fir man kiya ki kuch time uske paas hi ruk jau par time bahut jyada hone ki wajeh se nai ruk paai wo muje ye acha nai laga ki itni kam umar me unhone magna sikh liya or wo abhi se haar chuke hai wo bache jo dunia se bhi anjaan the unhe nai pata k kal unka future kya hoga par unhe dekh k mein yai soch rai thi ke jo maa baap apne bache paal nai sakte unhe bache paida karne ka bhi koi haq nai hai mein dubara us jageh jake un bachon se milna chahti hu for god sake wo mujhe waha mile............
Saturday, May 15, 2010
kyun hoti hai betiyan....
ek ladki jab wo janam leti hai tab se lekar last time tk usko hamesha yai samjhaya jata hai ki wo ek ladki hai sir me aapko appriciate karna chahungi ki aapne ek ladki ki dil ki baaton ko dil me utarkar kaha.. kyun use itna bandh ke rakha jata hai kya unki koi zindagi nahi hoti. unki zindagi ghar ki char diwari tak simit kyun reh jati hai.. new youth ke log kehte hai ke samay ne bahut parivartan kiya hai par kaha hum kyun nai dekh sakte usko yaha wo bhi log hai jo apni betion ko padate hai sirf isliye taki unki shadi kisi ache ghar me ho jaye kya wo ladki apne faisle nai le sakti or ager usne chaha bhi k wo apne faisle le to wo ladki achi nai samaj use achi nigha se nai dekhta kya ladki ka jina uchit hai muje nai lagta k ladki ka jina uchit hai use to mar dena chahiye wo dunia me lane layak nai.. dunia kitni modern kyun na ho jaye par wo ladke or ladki me fark nai mita sakte ek ladka kitne gunah kare unhe chupa diya jata hai kyunki wo ladka hai ager ye sab batein ladko ko samjhai gai hoti to sayad aaj humare samaj mein burai ki koi jageh nai hoti.. maa baap ladkiyon ko ghar se nai nikalne dete reason wo dekhte ke ladko ne samaj ko ganda kiya hai unhe to bade budo ka bhi lihaj nai hota or sare aam kuch bhi bolte chale jate hai or wo ladki jise sikhaya jata hai ke wo ek ladki hai wo fir waha yai soch k chup reh jati hai ke wo ladki hai or jyada bolne se log use bura bhala kahege to sab kuch sehte huye chali jati. HAI TO EK LADKI NA............
Subscribe to:
Posts (Atom)